Ab Na Pehle Se Tum Ho Lyrics
?ho ab na pehle se tum ho na pehle se hum kya the tum kya the hum aaj kya ho gaye ya to tum hat gaye ho kahi raah se ya to phir hum bhi kuch bewafa ho gaye ab na pehle se tum ho murg ne bang di khul gayi khidakiya subah ne jaagne ka sandesha diya ma ne nehala dhula kar sanwara hume hath me doodh ka ek pyala diya dala gardan me vasta kitaabo bhara chumi besani hotho ko wo sadiya hum rawana huye madrase ki taraf apni sacchai se aasna ho gaye aasna ho gaye ab na pehle se tum ho phir hua yun ki jivan ne aawaz di hum bhi sapno ka sansar leke chale deep bankar chali sath maa ki dua ruh me baap ka pyaar leke chale kya khabar kis safar ke musafir the hum saath me ghar ki deewar leke chale aur phir yun huaa aake ek mod par ek dujhe se hum tum juda ho gaye judaa ho gaye ab na pehle se tum ho bujh gaye deep maa ki duaao ke sab baap ke pyaar ka saaz zinda nahi zindagi jaise bazar ki sabhayta dusra koi andaaz zinda nahi sirf sikko ki jhankaar kano me hai dusari koi aawaz zinda nahi koi mausam nahi zindagi ke liye ashq muskaan sab bemaza ho gaye bemaza ho gaye ab na pehle se tum ho jee to chahe mile tumse baate kare tumse rishate hain kuch tumse naate hain kuch shaam ki chay ek saath milkar peeye khatm ho jaaye dil me jo shikve hai kuch kaisi guzri hai deewali ab ke baras haal ido ka apni suna do humein bibi bacho ka kya haal hai in dino kam se kam phone hi par bata do hume aisi kya bekhudi aisi kya bedili kya hua jo humse tum khafa ho gaye khafa ho gaye ab na pehle se tum ho aao phir laut jaaye usi simt hum pyaar tha sukh ki parchaiya thi jaha paag behno ke masum se hath mein bhaiyo ke liye rakhiya thi jaha thaal mein aarti ke chamkte diye aur chaukhat pe rangoliya thi jaha ped imali ke the baag aamo ke the koyal ki madhur boliyan thi jahan ghar bhara tha akela na tha koi bhi chachiya thi jahan bhabhiyan thi jahan saans chalti hai seene dhadkte nahi zism zinda hai zazbe panaah ho gaye panaah ho gaye ho ab na pehle se tum ho na pehle se hum kya the tum kya the hum aaj kyaa ho gaye ya to tum hat gaye ho kahi raah se ya to phir hum bhi kuch bewafa ho gaye ab na pehle se tum ho