Mahki Huyee See Abb Saree Fijaye Hain Lyrics
koyi jo mila to mujhe aisa lagta tha jaise meri sari duniya me geeto ki rut aur rango ki barkha hai, khushbu ki aandhi hai mahki huyi si ab sari fijaye hain bahki huyi si ab sari hawaye hain khoyi huyi si ab sari dishaye hain badli huyi si ab sari adaye hain jaagi umange hain, dhadak raha hai dil saanso me tufan hain, hontho pe nagme hain aankho me sapne hain, sapno me beete huye sare wo lamhe hain jab koyi aaya tha, najro pe chhaya tha dil me samaya tha, kaise mai batau tumhe kaisa use paya tha, pyar se chehre pe bikhri jo julfe to aisa lagta tha, jaise kohre ke pichhe ek os me dhula huwa, phul khila hai jaise badal me ek chand chhupa hai aur jhank raha hai, jaise raat ke parde me ek savera hai, roshan roshan aankho me sapno ka sagar, jisme prem sitaro ki chadar jaise jhalak rahi hai lahro lahro baat kare, to jaise moti barse jaise kahin chandi ki payal gunje jaise kahin shishe ke jaam gire aur chhann se tute, jaise koyi chhip ke sitar bajaye jaise koyi chandni raat me gaaye jaise koyi haule se paas bulaye kaisi mithi baate thi, wo kaisi mulakate thi wo jab maine jana tha najro se kaise pighalte hain dil aur aarju pati hai kaise manjil aur kaise utarta hai chand jami par kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahi par usne bataya mujhe, aur samjhaya mujhe hum jo mile hain, hume aise hi milna tha gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha janmo ke bandhan, janmo ke rishte hain jab bhi hum janme, to hum yunhi milte hain kaano me mere jaise, shahd se ghulne lage khwabo ke dar jaise, aankho me khulne lage khwabo ki duniya bhi kitni hasi aur kaisi rangin thi, khwabo ki duniya jo kahne ko thi, par kahin bhi nahi thi khwab jo tute mere, aankh jo khuli meri hosh jo aaya mujhe maine dekha, maine jana wo jo kabhi aaya tha, najro pe chhaya tha dil me samaya tha, ja bhi chuka hai aur dil mera hai ab, tanha tanha na to koyi armaa hai, na koyi tamanna hai aur na koyi sapna hai ab jo mere din aur ab jo meri raate hain unme sirf aansu hain unme sirf dard ki, ranj ki baate hain aur fariyade hain mera ab koyi nahi mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain