Chalte Chalte (Part 2) Lyrics

kya pata aag si ye kaha lag gayi ye lagi thi waha ab yaha lag gayi hal dil ka kahe ya abhi chup rahe mitha mitha sa ye dard kaise sahe chandani rato me uthkar jagne hum lage chupke chupke kuch duaye mangne hum lage haye ye kya karne lage kya yahi pyar hai kya yahi pyar hai ha yahi pyar hai ha yahi pyar hai chalte chalte yuhi ruk jati hu mai baithe baithe kahi kho jati hu mai kahte kahte hi chup ho jati hu mai kya yahi pyar hai kya yahi pyar hai ha yahi pyar hai ha yahi pyar hai