Bat Meri Suniye To Jara Lyrics
baat meri suniye toh jara baat meri suniye toh jara meri baat sunke baataiye ke iske bare me hai aap ka khayal kya itna kyon gurur aap me hai itna aap me hai naj kisliye bataiye hai kisne yeh sikhaya aapko ke jo bhi tumko chahe jo bhi tum ko pyar se mile usi se tum raho khafa khafa baat meri suniye toh jara aise ham nahi hai lekin ham agar ho aise bhi toh isme kya hua kyon na ho gurur hamko, kyon na hamko naj ho ke ham hasin logo ki hi thokaro me hai jamana jisko dekhiye humara hai divana ham kisi ka bhi dil tod de, kisko aadhe raste me chhod de toh usko bhi duniya kehti hai ada baat meri suniye toh jara aaj sun hi lijiye ke kya hai husn aapka, kya hai aap ki ada aap ke har ek sitam ko hamne hi ada kaha aur aap ki har ek ada ko haske hamne hi saha hamne hi toh jara si baat ko bada ke dastan kar diya hamne hi toh husn ki jamin ko aasman kar diya hai duniya me jo aap ka yeh husn bemisal hai toh iss me bhi hamare ishk ka hi toh kamal hai agar hum hi na hote isko kaun puchhata aapko agar khayal hai ki ham husn jo mila hai aapne diya hai yani jo bhi hai kamal aapne kiya hai toh yeh baat saf hai ki hamko dekhte hi aapko nasha sa ho gaya hai sara hosh kho gaya hai warna aisi ulti sidhi behki behki baato ki wajah hai kya nahi samaj me aayi meri baat toh nahi sahi jo aap apne husn par gurur karte hai toh kariye par na bhul jayega ham ne hi toh khune dil diya jisse rup me yeh rang aa gaya hai aap ka yeh husn duniya bhar pe chha gaya hai ho jadu banke ham nigaho par chha gaye dilo me jo sama gaye hai toh hairat isame kya hai chehra phul hot kaliya aur julfe hai andhera aisa jo mehak raha hai hamne hi toh aap ke inn hoto ko gulab aur chehre ko kamal kaha hai ham ne hi toh aap ki najar ko jadu baaton ko ghajal kaha hai ham ne hi julf ko kabhi kaha hai rat aur kabhi ghata agar hami na dekhte na chahate na puchhte toh patharo ke buth ko kaun kehta phir kudha baat meri suniye toh jara chodiye bhi kehne aur sunne ko hai baki kya dekhiye mai keh rahi hu baat meri suniye toh jara aap kya kahengi mujhko khub hai pata are baat meri suniye toh jara phir milenge wakt agar mila