Ek Na Ek Shama Andhere Me Jalaye Rakhiye Lyrics
ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
subah hone ko hai mahol banaye rakhiye
ek na ek shamma
jinke haatho se hume zakm-e-niha pahunche hai
jinke haatho se hume zakm-e-niha pahunche hai
wo bhee kehte hai ke zakhmo ko chupaye rakhiye
ek na ek shamma
kaun jane ke wo kis raah-guzar se guzre
kaun jane ke wo kis raah-guzar se guzre
har guzar raah ko phulo se sajaaye rakhiye
ek na ek shamma
daman-e-yaar ki zeenat na bane har ansu
daman-e-yaar ki zeenat na bane har ansu
apni palko ke liye kuch to bachaye rakhiye
ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
ek na ek shamma