Mera Kissa Lyrics
baantne lage kyun mujhe dil ki mansha puchhti kya hai mujhme duniya dhundti kya hai aisi hu na waisi hu main bhi saala tum jaisi hu phir kyun mujhko baantati hai main hakk maangu to daantati hai bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa tumko sala pata nahin hai ladki hona khata nahin hai jitna jag pe hakk tera utna hi mera hakk hai phir bhi sala jaane kyun tujhko mujhpe hi shaq hai kyun bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa hum na hote to kya hota tanha baithe ghut ghut rota kaun dil ki marammat karta kaun tujhse muhabbat karta sabke dil me baste hain hum phir bhi sala saste hain hum bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa bas itna hai mera kissa baant ke rakh tu mera hissa