Ae Khuda Tu Bata Lyrics
le aayi hai bite hue lamho ko phir ha ye zindagi yu beraham si ho gayi, lene chali jaan ye zindagi khuda kyu ruth gaya mujhse, nahi tha bair mera tujhse kyun tune chhin liya mujhse mera jahan ae khuda khuda tu bata bata ummid thi armaan the, khushiya bhi thi behisaab si baaho me thi duniya meri, thi zindagi jaise khwaab si har ik pal roshan roshan tha, mehakta dil ka aangan tha tha jannat se badh ke pyaara mera jahaan ae khuda khuda tu bata bata ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda bata mere khuda thi kya meri khata bejaan si hai zindagi, har saans hai ghamzada ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda bata mere khuda thi kya meri khata ummid hai tuti hui, tanhaiyo ka daur hai hai khwahishe bikhri hui, khamoshiyo ka shor hai bula le apne paas mujhe, na aaye jina raas mujhe kyun tune chhin liya mujhse mera jahan ae khuda khuda tu bata bata ye kya kiya khuda haaye ye kyun kiya khuda bata mere khuda thi kya meri khata bejaan si hai zindagi, har saans hai ghamzada ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda bata mere khuda thi kya meri khata