Mai Zinda Hun Lyrics
sathiyo sathiyo aakhiri baar kya keh raha hun suno ho sake to suno maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe ik paigham likha hai jinke naam likha hai un tak pahucha dena un tak pahucha dena mere man ki baat unhe tum batla dena maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe ik paigham likha hai ik paigham likha hai meri maa se tum ye kehna bachpan me mujhse tune kaha tha dharti maa bhi maa hoti hai maine aaj is dharti maa ki laaj rakhi hai mat ro maa tu kyun roti hai kyun roti hai kyun roti hai maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe ik paigham likha hai ik paigham likha hai mere baba se tum kehna bachpan me mujhse tumne kaha tha aisa kuch mat karna ki mai sharminda hun tumne kaha tha itihas humse kehta hai jo hai bahadur marke bhi zinda rehta hai baat tumhari maan li maine apne watan pe jaan di maine dekho baba aaj mai marke bhi zinda hun sau karod insano ke ehsas me mai zinda hun hindostan ke man me base vishwas me mai zinda hun naujawan chehron me mai hun sarhad par pehron me mai hun tum mera koi gham na karna apni palkon ko nam na karna apna gaurav kam na karna apna gaurav kam na karna mai zinda hun mai zinda hun