Zindagi Tujhko Jiya Hai Lyrics
zindagi tujhko jiya hai koi afsos nahi
zehar khud maine piya hai koi afsos nahi
maine mujrim ko bhi mujrim na kaha duniya me
bas yahi zurm kiya hai koi afsos nahi
meri kismat me jo likhe the unhi kanto se
dil ke zakhmon ko seeya hai koi afsos nahi
ab gire sang ke sishon ki hoon baarish fakir
ab kafan odh liya hai koi afsos nahi