Ek Zindagi Armaan Bhari Lyrics

?ek zindgi armaan bhari haar kar bhi mukddar se ladti rahi jaise kahi raakh ke dher me koi chingari ghut ghut ke jalti rahi ek zindgi armaan bhari uski sanse thi dil ki jalan ka dhua par na jana kisi ne use kya hua usne gairo ko sau sukh ka jivan diya zindgi ke liye khud tarasti rahi ek zindgi armaan bhari apne jivan ko usne aise jiya jal raha ho kahi aandhiyo me diya gam ke jhonkho se kuch ladkhdai to thi par ruki na lagatar chalti rahi ek zindgi armaan bhari pyar paya magar raas aaya nahi unko shayad kisi ki nazar lag gai zindgi apne bojhe se tuti thaki kaun khota khara hai prakhti rahi ek zindgi armaan bhari pyar ke par nikal aaye udene laga roop yovan bhi ab to machalne laga josh me sath rahne ki kha li kasam magar ek chubhan dil me chubhti rahi ek zindgi armaan bhari dasta khat hoti si aai nazar par ab hua hai shuru zindgi ka safar ab ye raahe kaha le chali hain mujhe rasto se yahi prashn karti rahi rasto se yahi prashn karti rahi mujhe le chali hai kaha mujhe le chali hai kaha mujhe le chali hai kaha mujhe le chali hai kaha