Dil Ki Is Dehleez Tak (Male) Lyrics
dil ki is dehliz tak
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye
sham ki tanhaiyo me
unki ulfat ke ye saye
pyar ka tufan laye
dil ki is dehliz tak
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye
chand yado ka ab sahara hai
pyar ka dard bhi gawara hai
sath kisi ke jo bite the
wo lamhe the khawabo ki
khushnuma sapna tha koi
nind me hum muskarye
hum muskarye
sham ki tanhaiyo me
unki ulfat ke ye saye
pyar ka tufan laye
dil ki is dehliz tak
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye
rat gum sum hai aasma chup hai
dard me dube kahkasha chup hai
rat ka rahi chand akela
apne safr me hai tanha
rat ke khawabo me shyad
koi subha muskarye
hum muskarye
sham ki tanhaiyo me
unki ulfat ke ye saye
pyar ka tufan laye
dil ki is dehliz tak
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye
jo mehma ban ke aaye