Ye Daulat Bhi Le Lo (Woh Kagaz Ki Kashti) Lyrics

ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo bhale chhin lo mujhse meri jawaani magar mujhko lauta do bachpan ka sawan wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani mohalle ki sabse nishani purani wo budhiya jise bache kahte the nani wo nani ki baato mein pariyo ka dera wo chehre ki jhuriya mein sadiyo ka phera bhulaye nahi bhul sakta hain koi bhulaye nahi bhul sakta hain koi wo chhoti si raate wo lambi kahani wo chhoti si raate wo lambi kahani kadi dhup me apne ghar se nikalna wo chidiya wo bulbul wo titli pakadna wo gudiya ki shadi pe ladna jhagdna wo jhulo se girna wo gir ke sambhalna wo pipal ke chhalo ke pyare se tohfe wo pipal ke chhalo ke pyare se tohfe wo tuti huyi chudiyo ki nishani wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani