Dekh Tamasha Lakdi Ka Lyrics

suno ae bhaiya tumhe sunaye ek anokhi baat are janam se lekar marne tak lakdi ka na chhute sath dekh tamasha lakdi ka bhai dekh tamasha lakdi ka dekh tamasha lakdi ka bhai dekh tamasha lakdi ka saur me lakdi jalti hai aur lakdi ka banta palna saur me lakdi jalti hai aur lakdi ka banta palna lakdi ka hi leke sahara baccha ho sikhe chalna takhti banti hai lakdi ki takhti banti hai lakdi ki bane khilauna lakdi ka dekh tamasha, tamasha dekh tamasha lakdi ka dekh tamasha lakdi ka bhai dekh tamasha lakdi ka shadi me mandap lakdi ka lakdi ki hai shehnai shadi me mandap lakdi ka lakdi ki hai shehnai baith ke lakdi ki doli me dulhan piya ke ghar aayi sindur dani lakdi ki sindur dani lakdi ki aur palang banaya lakdi ka dekh tamasha, tamasha dekh tamasha lakdi ka dekh tamasha lakdi ka bhai dekh tamasha lakdi ka lakdi ka hal chale khet me nadi me lakdi ki naiya lakdi ka hal chale khet me nadi me lakdi ki naiya khinche bail bailgadi ko laga hai lakdi ka pahiya chautha pan jab aaye to budha hath me lakdi leke chale chautha pan jab aaye to budha hath me lakdi leke chale marne par arthi lakdi ki lakdi ki hi chita jale aise hi jivan bhar bahiya rahe sahara lakdi ka dekh tamasha, tamasha dekh tamasha lakdi ka dekh tamasha lakdi ka bhai dekh tamasha lakdi ka